Cigarette Lyrics in Hindi: The song is sung by Farhan Khan, and has music by Mr Doss while Farhan Khan has written the Cigarette Lyrics.
Cigarette Song Details
📌Song Title | Cigarette |
🎤Singer | Farhan Khan |
✍️Lyrics | Farhan Khan |
🎼Music | Mr Doss |
🏷️Music Label | Cigarette-Farhan Khan |
▶ See the music video of Cigarette Enough Song on Cigarette-Farhan Khan YouTube channel for your reference and song details. |
Cigarette Lyrics In English
Seene Se Saansein Na Nikle
Pahuncha De Dhuan Taaki Nikle Wo Bahar
Dhuen Se Sab Kar Dete Dhundhla
Hai Dar, Na Wo Padh Le Ye Chehre Ka Haal
Na Lagti Ab Bhook Par Kha Lete Khaana
Bahana Hai Peene Ka Khaane Ke Baad
Ham Marte Har Waqt
Bas Peene Ke Waqt Ham Thoda Sa Jee Lete Sahab
Wo Kehte “Mohabbat Wahi Jisme Aashiq Bichad Jaate
Rehte Na Saath”
Aur Meri Mohabbat Ka Haal Ki Hothon Se Choote Hi Ho Jaati Raakh
Maachis Ki Tili Ko Chu Lu To Jal Jaati Ho Jaati Mujhse Naraaz
Phir Chum Ke Samjhata Mar Jaata Kab Ka
Par Teri Talab To Bacha Li Hai Saans
Ab Mujhko Bas Tera Hai Saath
Bewafa Tu Bhi Na Ban Jaana Yaar
Maana Ki Jab Bhi Ham Milte Mein Choota Hun Tujhko
Par Pakeezah Hai Mera Pyaar
Haan Tujhse Hi Milta Sukoon
Warna Khatam Hoti Kaise Ye Raat?
Kaise Bhulata Mein Laila Ko
Jab Tak Bulati Na Tere Tu Mujhko Yun Paas
Ab Mere Kameezon Se Tere Badan Ki
Ye Khushboo Na Ghar Ko Pasand
Par Kaise Bataun Ki Ungli Ko Tu Na Pakadti
To Chal Paate Hargiz Na Ham
Haan Kaise Nikalte Ham Khud Ke Khayaalon Se
Phas Jaate Mar Jaate Hum
Jo Tu Na Chamakti Andheron Me Jal Ke
To Khud Ke Hi Saayon Se Dar Jaate Ham
Toh Hona Nai Mujhse Yun Door
Tere Liye Todi Hain Saari Hai Kasmein
Maara Hai Laila Ne
Par Le Leta Saans Jab Leta Hun Kash Mai
Laila Thi Bas Khaali Dil Me
Tu Mere Khoon Me Tu Meri Nass Me
Kehte Hain Marne Ke Baad Bhi Zindagi
Hona Dafan Saath Meri Qabar Me
Dhuen Ke Bana Ke Baadal
So Rahe Lapete Baadalon Ki Chaadar
Jala Rahe Khud Ko Ho Chuke Hain Paagal
Ab Zindagi Hai Cigarette (Cigarette)
Dhuen Ke Bana Ke Baadal
So Rahe Lapete Baadalon Ki Chaadar
Jala Rahe Khud Ko Ho Chuke Hain Paagal
Ab Zindagi Hai Cigarette
Padhta Hai Chup-Chup Ke Milna
“Ye Rishte Na-Jaayiz Hai” Kehte Hain Log
Kehte Ki Majnu Ko Patthar Padhe Hain Akkal Pe
Khareede Ye Paiso Se Maut
Par Kaise Khareede Mohabbat Ko Koi?
Paise Nahi Yahan Nazraana Dost
To Laila Ke Jaate Hi Mar Gaya Majnu
Mein Jal Raha Mujh Ko Tu Parwana Bol
Aur Dhuan Ye Saanson Ki Maala Hai
Sambhalu Ki Haathon Se Chute Na
Mein Pal Me Bikhar Jaunga
Toh Darr Hai Ki Maala Ye Galti Se Toote Na
Jo Tootegi Maala Agar
To Marne Ke Baad Khuda Mujhse Puchega
“Bande Bata Teri Kya Hai Raza?”
Mein Hans Ke Kahunga “Ye Banda Bas Phookega”
Na Jannati Chahta Libaas
Na Hoorein, Na Peena Mein Chahta Sharaab
Hai Nafrat Sharaab Se
Behkati Mujhko Le Jaati Hai Laila Ki Galliyon Ke Paas
To Khaali Hai Dhuan
Ye Aisa Hai Rakhta Daba Ke Jo Seene Me Raaz
Warna Ye Kambakht Paimana Aisa
Ki Jhoota Bana De Ye Peene Ke Baad
Aur Chor Do Mere Tum Haal Pe
Koi Na Aake Bhi Mujhko Salah Do
Jo Itni Hai Meri Fikar
To Aa Ke Khali Mera Sutta Jala Do
Wo Bahut Hai Mere Liye
Ye Zindagi Maut Hai Mere Liye
Na Maut Ka Darr
Bas Jo Bachi Saansein Wo Saansein Bhi Jodh Li Tere Liye
Toh Hona Nai Mujhse Yun Door
Tere Liye Todi Hain Saari Hai Kasmein
Maara Hai Laila Ne
Par Le Leta Saans Jab Leta Hun Kashmein
Laila Thi Bas Khaali Dil Me
Tu Mere Khoon Me Tu Meri Nass Me
Kehte Hain Marne Ke Baad Bhi Zindagi
Hona Dafan Saath Meri Qabar Me
Dhuen Ke Bana Ke Baadal
So Rahe Lapete Baadalon Ki Chaadar
Jala Rahe Khud Ko Ho Chuke Hain Paagal
Ab Zindagi Hai Cigarette
Dhuen Ke Bana Ke Baadal
So Rahe Lapete Baadalon Ki Chaadar
Jala Rahe Khud Ko Ho Chuke Hain Paagal
Ab Zindagi Hai Cigarette
Dhuen Ke Bana Ke Baadal
So Rahe Lapete Baadalon Ki Chaadar
Jala Rahe Khud Ko Ho Chuke Hain Paagal
Ab Zindagi Hai Cigarette