Gaon Mein Peepal Lyrics In Hindi- Suraj Aur Chanda

Sooraj Aur Chanda Song ‘Gaon Mein Peepal’ is a Hindi song sung by and music composed by . Gaon Mein Peepal song lyrics are written by . Sooraj Aur Chanda is a 1973 Hindi film starring Sanjeev Kumar, Rita Haksar and Sujit Kumar.

Gaon Mein Peepal Song Details

📌Song Title Gaon Mein Peepal
🎞️ Album
🎤 Singer Mohammed Rafi
✍️Lyrics Laxmikant Pyarelal
🎼 Music Anand Bakshi
🏷️Music Label
▶ See the music video of Gaon Mein Peepal  Song on Surindersidhu00 YouTube channel for your reference and song details.

Gaon Mein Peepal Lyrics

Gaon mein peepal, peepal ki chhaiyan
Gaon mein peepal, peepal ki chhaiyan
Chhaiyan mein panghat, panghat mein paani
Paani mein aag lagaye ho rani teri jawani

Gaon mein peepal, peepal ki chhaiyan
Chhaiyan mein panghat, panghat mein paani
Paani mein aag lagaye ho rani teri jawani

Nikli naha ke gori talaab se kuchh aise
Sawan mein baadlon se nikla ho chaand jaise
Nikli naha ke gori talaab se kuchh aise

Sawan mein baadlon se nikla ho chaand jaise
Sawan mein baadlon se nikla ho chaand jaise
Haaye kaanon mein jhumke, mukhde pe aanchal
Aankhon mein kajra paanv mein payal
Payal se geet sunaye ho rani teri jawani

Gaon mein peepal, peepal ki chhaiyan
Chhaiyan mein panghat, panghat mein paani
Paani mein aag lagaye ho rani teri jawani

Yeh roop hai ya shola
Yeh rang hai ke jaadu
Yeh nain hain ke jhoole
Yeh zulf hain ke baadal haaye

Yeh roop hai ya shola
Yeh rang hai ke jaadu
Yeh nain hain ke jhoole
Yeh zulf hain ke baadal haaye
Yeh nain hain ke jhoole
Yeh zulf hain ke baadal haaye

Haaye tera kya kehna dekhein jo naina
To saari raina jaage yeh naina
Naino se neend churaye ho rani teri jawani

Gaon mein peepal, peepal ki chhaiyan
Chhaiyan mein panghat, panghat mein paani
Paani mein aag lagaye ho rani teri jawani
Ho rani teri jawani
Hoye hoye ho teri jawani

Leave a Comment

टॉम क्रूज ने फिर उठाया जान का खतरा, प्लेन से लटककर किया स्टंट, वायरल हुईं तस्वीरें अनंत अंबानी की शादी से पहले छाए नीता अंबानी की ये 7 तस्वीरें Paudi Paudi Chadta Ja Lyrics – Lata Mangeshkar