Chann Lyrics in Hindi sung by Maanu, Zoha Waseem. The song is written by Maanu, Zoha Waseem and music composed by Talal Qureshi. Music label Cock Studio
Chann Song Details
| 📌 Song Title | Shabnam |
| 🎤 Singer | Maanu, Zoha Waseem |
| ✍️Lyrics | Maanu, Zoha Waseem |
| 🎼Music | Talal Qureshi |
| 🏷️Music Label | Cock Studio |
| See the music video of Shabnam on the Cock Studio YouTube channel for your reference and song details. |
Shabnam Lyrics In English
Hamara Tha Jo Rishta
Woh To Aise Tod Gayi
Parwana Aatishon Ka
To Yeh Sholay Chhod Gayi
Ab Ek Hi Toh Tamanna Hai
Jo Mujh Mein Reh Gayi
Ke Bandhun Dil Ka Dhaaga
Tujhse Phir Se Humnasheen
Dil Rehta Yeh Pyasa
Ke Mil Jaaye Dilasa
Meri Shabnam Bichhadna Na
Jo Tu Karti Zikr Main Aakad Jata
Haan Saansein Phul Gayi Meri
Yeh Justuju Jo Hai Teri
Hai Mujh Mein Aag Jo Yun Bhadke
Haan Bechaini Mein Yeh Dil Dhadke
Haan Jo Tu Aaye Yuvan Banke
Dekhun Tujhe Chupke Se Dar Dar Ke
Tujhpe Jitna Bhi Hum Marte
Kam Padta Hai Jo Bhi Kar Le
Diya Kya Kuchh Tere Sadqay
Phir Bhi Karti Dil Pe Hamle
Meherbani Kar De Tu Bhooli Na
Aasman Se Laoon Taare
Chahiye Tu Hi Chahiye Tu Hi
Rehguzar Tere Hum
Meri Shabnam Meri Shabnam Meri
Aasman Se Laoon Taare
Dhoonda Yeh Jahan
Rehguzar Tere Hum
Meri Shabnam Meri Jaan
Humara Tha Jo Rishta
Wo Toh Kaise Chhod Gaya
Armanon Ka Tha Waada
Wo Toh Kaise Tod Gaya
Haan Galti Thi Tumhari
Mujhko Mujrim Na Thehra
Haan Mujh Se Ab Wafa Ki
Tu Tawaqqa Rakh Hi Na
Ab Alvida Hi Jaanam
Ke Badle Ab Yeh Raah
Mehngi Padi Yeh Aashiqui
Yeh Justuju Jo Thi Teri
Iraade Bhool Gayi Tere
Haan Tab Se Tum Nahi Mere
Mila Kya Pyar Mein Pad Ke
Haan Bedardi Mein Ye Dil Dhadke
Kya Kuchh Gavaya Hai Lad Ke
Chuka Diye Yeh Kardze
Banaya Tha Deewana
Ab Na Maanun Teri Shartein
Gila Bhi Kya Karein Hum
Kahein Toh Kya Kahein Hum
Meherbani Kar De Ab Puchhi Na
Hamara Tha Jo Rishta
Woh Toh Aise Tod Gayi
Parwana Aatishon Ka
Toh Yeh Sholay Chhod Gayi
Ab Ek Hi Toh Tamanna Hai
Jo Mujh Mein Reh Gayi
Ke Bandhun Dil Ka Dhaaga
Tujh Se Phir Se Humnasheen
Aasman Se Laoon Taare
Chahiye Tu Hi Chahiye Tu Hi
Rehguzar Tere Hum
Meri Shabnam Meri Shabnam Meri
Aasman Se Laoon Taare
Dhoonda Yeh Jahan
Rehguzar Tere Hum
Meri Shabnam Meri Jaan
Aasman Se Laoon Taare
Meri Shabnam Meri Shabnam Meri
Aasman Se Laoon Taare
Meri Shabnam Meri Jaan





